“Tareekh ….Tareekh ….Tareekh…..”
Sunny paaji ne kya kamaal dialogue bola tha
Yeh tareekh ka humara rishta bhi kamaal ka hai
Sabse khaas hai pehli tareekh
Kyonki 15 ya 20 tareekh hote hi
Pehli tarrekh ka intezaar karte hain..
Pehli tareekh agar 5 ya 7 me badal jaye to
tanke udhadne lagte hain (kisi khaas jagah ke)
Najaane kitne roop aur avatar me aati hai yeh tareekh
Angrezi me aaye to Romance bhari hoti hai
‘Kanuni’ aaye to pareshaani bhari hoti hai
Doctor se aaye to dard bhari hoti hai
Interview lekar aaye to armaano bhari hoti hai
Bank se aaye to tension bhari hoti hai
Varmala le kar aaye to Janmon ke vaade bhari hoti hai
Exam le kar aaye to paseene bhari hoti hai
Result lekar aaye to …uff!! mat poocho yaar
Aur jab Aakheeri aati hai to
Kilkaari se khaali thahakon tak ke
safar ka manzar
aankho ke saamne ghuma deti hai
Tab lagta hai yeh tareekh kyon aati hai
Thoda aage kyon nahi sarak jaati…
Judge Sahab…Ek aur tareekh ..sirf ek aur…..
5 comments:
kya taareekh hai...
mazaa aa gaya...
lekin thodi aur lambi ho sakti thi..aur taareekhein jodiye...
kya taareekh hai...
mazaa aa gaya...
lekin thodi aur lambi ho sakti thi..aur taareekhein jodiye...
Dhanyawaad Sir ji...
तारीख, तारीख, तारीख… बहुत बढ़िया तारीख, लेकिन अगस्त की 25 तारीख के बाद अब अक्टूबर की 25 तारीख आने वाली है, इस बीच और कुछ क्यों नहीं लिखा भाई? हम अगली तारीख कब की मानें? :) :)
ha ha ..thanks Dada, lekin main bhiin tareekhon ke jaal me aisa uljha ki kuch aur likh nahi saka...
Aapne padha aur daad di ye motivation kaafi hai..bahot jald agli tareekh pesh-e-khidmat hogi.
Post a Comment