In raston ki khaak chaani hai maine,
Har mod pe lamho ko fasane bante dekha hai maine
In galiyon se vaakif hunh main,
Yahan vakt ko bhi ladkhadate dekha hai maine
Gurur ki imararaten tut ke bikhar jaati hain
Imandaari ke khandaharon ko umeed pe tikte dekha hai maine
Chand kagaz ke tukde jinke liye bhai ko marava diya
Aaj unhi ko, kisi thirakte paanv tale dum todte dekha hai maine
Goliyon se chalani us fauji ki vardi ko,
Aaj bhi dhup me sukhte dekha hai maine,
In raston ki khaak chaani hai maine,Har mod pe lamho ko fasane bante dekha hai maine