Friday, February 25, 2011


Pehle to usko pairon tale ronda

Fir uska gala ghonta  gaya

Uski aankhe fodne ki koshish kari

Haath paanv kaat kar dhad se alag kar diye

Aisi avastha me bhi  Uspe baar baar balatkaar hua 

Tezaab daal kar jalane ki koshish bhi ki

Yeh kambakht itna besharam hai

Ki fir bhi nahi marta, na hi tutata hai

Fir dil me jagah bana leta hai

Fir jee uthata hai

Kaisi cheez banayee hai uperwale ne

Ise kis kambakht ne naam diya hai – “BHAROSA

Koi ise “Vishwaas” kehta hai, koi..”trust”

Bada besharam hai saala, marta hi nahi
....
Marvaa zaroor deta hai...


Thursday, February 3, 2011

Darr

Tumhe kho dene ka dar,
Kyon lagta hai is kadar,

Ke manzoor hai mujhe,
Ranjo-gam me bhatakna dar badar.

Tumhare honto pe kisi aur ka aaye naam,
to dil me chubhta hai ek khanjar,
Lagta hai vakt ne fir baazi maarli
ek tedhi chaal chal kar,

Tumhe kho dene ka dar, kyon lagta hai is kadar,

Tumhari chahat ne bana diya hai
kamzor is kadar,
ke ab is baat se dil jata hai dar,
Na jaane kab chali jayegi yeh
khushi mujhe chod kar,

Tumhe kho dene ka dar, Lagta hai is kadar...